Pages

Tuesday 30 October 2012

Jeevan Ka Marathon... Entry by Anshul Baranwal, IIFT Delhi

Jeevan ke is marathon ne...
door kiye wo saathi, jinke sang hamesha ye zindagi thi muskurati.
Hun aaj bhi dhundta un pyaaron ka saath,
jinhe kho diya is bheed mein.
Na lautenge wo din, na lautega wo sama,
Laut sakti hain to bas wo yaadein jo reh gyee hain antarman men...

Jeevan ke is marathon ne...
Chalna hai sikhaya, par di hain akeli raahen.
Badhna hai sikhaya, par di hain toofani raaten
ab to bas ye sochta hun akhir kya paya aur kya khoya..

Na kehna isse meri samvedna
Ye to hai wo chah, wo ummeed
Un haseen lamhon ke lautne ki..
Un khilkhilate dinon ki..
jab 4 paise aur kuch mitti ke khilone hi kaafi hua karte the..

Ab intezaar hai to us sama ka, jab na hogi ye daud na hogi ye bheed
par jane kab wo din ayega, kahin aisa na ho...
Jeevan ke is marathon me jeevan hi kahin kho jaye..
Jeevan hi kahin kho na jaye...

No comments:

Post a Comment