Pages

Tuesday 30 October 2012

Waqt, Mai Aur Khuda … Entry by Ankita Shah, N.L.Dalmia Institute of Management Studies & Research, Mumbai



Waqt ne mujhse pucha: Kaha kho gai…
Kisi ke khayalo mei yun gumsum ho gai...
Kya jaadu kar gaya wo insaan tumpar ki...
Meri maar se bhi tu ek aansu naa rooi...

Maine kaha: Ae waqt, kya batau mai tujhko...
Tu samaj bhi na paayega is ehsaas ko...
Ye wo khushi hai jo kabhi tune hi di thi mujhe...
Aur aaj tak mujhe muskaane me kaamyaab he wo...
Ye jaadu nahi kisi aur farishte ka, Ye kamaal to hai tera hi tera...
Tu bhul gaya mujhe ye ek khushi deke...
Par wo khushi chod na paaya mera chehra...

Waqt ne fir pucha mujhse, is baar gehri soch se:
Khushiya to mai sabko deta hi hu...
Aur fir kuch pal mei unse wo chheen bhi leta hu...
Log rote hai khoon ke aansu unke liye...
Aur mai bas unko dekhta hi rehta hu...
Tu kis mitti ki bani hai jo chod chali ye dastur...
Wo jo sadiyo se chala aa raha...
Kyunki har insaan hai mere hi haathon majboor...

Maine kaha: Ae waqt, tu hai to bada shararti, Par mai teri shararato se nahi hu darti...
Tujhe shayad ye nahi pata ki, Karti hu mai us hi khuda ki bhakti...
Jisne tujhe ye takat di ki tu logo ko rula sake...
Par usne mujhe bhi shakti di ki dil mera sambhal sake...
Tu logo ko rulata hai, maze loot-loot kar…
Par is baar tera ghamand gir gaya, chakna choor hokar...


Maayus hokar wo jaa pahucha... usi khuda ke paas...
Jisne use batlaya tha kaam kuch zaruri aur khaas...
Jaakar puchne laga wo unse bade hi gham ke saath...
Kyu diya unhone is gham me mera saath...


Khuda uski naadani pe muskaye aur bole:
Mai agar chahta tha ki insaan zindagi mei roye, To wo isliye taaki wo mujhe kabhi bhi naa khoye...
Jab isne to mujhe apne se alag hi na kiya, Har waqt, har ghadi, apne andar basa liya...
Kaise lu mai aisi shaksiyat ka imtihaan, Aur kaise jhuka du mai uska samman...

Use to mai banauga duniya ke liye ek misaal, Log bhi dekhege use aur ye sochege har baar...
Jo waqt aksar humpe karta raha hai vaar, Kaise naa chala ispe is waqt ka hathiyaar...

Tab aayege log mujhse puchne yehi sawaal,
Aur jab milega jawaab to ho jaayenge behaal...
Pata chalega unhe kya khoya aur kya paaya,
Tab jab unke mann mei uthega ye ek sawaal....

14 comments: