Pages

Tuesday 30 October 2012

Dupatta! ... Entry by Sumit Kumar College of Agriculture,Dapoli

Dupatta laal chunari kaa,
Lipat kar tujh se rehta hai,
Meri pyaasi nigaaho.n par,
hameshaa hansta rehta hai.
Kabhi udta hawaaon mein,
Simtat ta teri baahon mein
Kabhi kaandhe pe bekaaboo,
Sarakata firta rehtaa hai.
Tere kaanon mein kehtaa kuchh,
Ya seene se lagaa rehta,
Teri dhadkan ko gin gin kar,
Yeh uthtaa girtaa rehtaa hai.
Kabhi teri kamar iski,
Girafton mein bandhi rehti,
Kabhi yeh peeth par kaafir,
Khisaktaa khinchtaa rehtaa hai.
Kabhi paunchhe paseene ko,
Kabhi dhaktaa hai soorat ko,
Kabhi gaalon ko chhoota hai,
Kabhi munh lag ke rehtaa hai
Kabhi kaaleen ban jaataa,
Kabhi godi mein sota hai,
Tere haathon ko sehlaataa,
Satata mujhko rehtaa hai

No comments:

Post a Comment