Pages

Monday 29 October 2012

Neend wala deewana ... Entry by Ankit Gupta, IMT Ghaziabad



koi deewana kehta hai, koi paagal samajhta hai
(Bhayio jaani pehchani lag rhi hogi yeh awaz...)
koi deewana kehta hai, koi paagal samajhta hai
magar aakhoin ki bechaini, ko bas bistaar samajhta hai
meri aakhoin ki laali hai jo mujhe yeh kehti hai
meri J lobby ki khidki se, mujhe videsh dikhta hai
(a dream to go to exchange as soon as possible)

neend se to main, bhaag nahi sakta
halat meri aisi, lecture mein hun jagta
hey shri assignment,
tum roj aake
tum roj aake kisi bahane se bulate ho
majey lete hue,
majey lete hue meri neend udhate ho
poochte mujhse, marketing kya hai hota
kehte mujhko global aur upar se jhootha
Khoon ke rishtey ko haftey mein hun bhoola
tuneyyyy mera sampark, premika se bhi toda   
(Kisi ka sampark toda aur kisi ka Sambadh…par toda toh)

Halat kuch aisi, bhookey pet hun rehta
saas ki safayi yog se hun karta
hey chanchal quiz,
Tere bulane
Tere bulane se mujhe sir dard hai milta
ugta hua suraj ,mujhe ab roj hai dikhta

main jagta hoon, main jagta rahoonga
yahi waqt ki nazakat hai
mere yaaron meri ankon mein, tumhari takleef barabar hai

jindagi ne ab jaake meri badli hai kismat,
main kavi to ban na saka, par banoonga prabandhak

No comments:

Post a Comment